Parchaiyan episode 6 by ARY digital 19th march 2013

Posted on Tuesday, March 19th, 2013 at 8:41 pm and filed under Ary Digital Dramas, Parchaiyan .
Parchaiyan episode 6 by ARY digital 19th march 2013
VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 8.8/10 (219 votes cast)
Parchaiyan episode 6 by ARY digital 19th march 2013, 8.8 out of 10 based on 219 ratings
  • zahra

    baho rani apna bacha kiun nahin paida karti

  • rahi

    aisa tu nahi dekha kubi k maa aur behn k doseray buchay dushman hon,aisa lugta hay jaisay maa, baap ki dosri bevi ho .

  • rahi

    pakistani dramas main b bagairty ki intaha ho gae hay

  • ali aamer

    ghar ki baho ko chaheya ke kapre to pahan le free advais

  • sohail

    our pakistani dramas are the best. good job by the director and actors.

  • sami

    good drama

  • Hamza

    Nida is worst girl aur girl kehnay Kay like Nhi churail and alidan biwi ki dum kahin ka
    Zawia is awesome and mehndi pr tou gr8 lag rhi thi

  • Mahnoor

    Zavia is gr8 nida ko tou aqal hi Nhi hai aur alidan nida ke pichey lag kr maa baap ko chor rha hai

  • pasha

    thankyou for loading this drama here, i couldnot watch becoz no light at my home

  • shamshad

    favorite drama. too good

  • ali

    Directer ko credit jata hay is topic ko parhay likhay logon aur modren logon mein shamil kerna, kyunkeh unparh aur ghareeb logon per to hamesha nasamjhi aur jahiliyat ka label lagaya jata hay. sema ghazal nay achay topic peh likha hay

  • hira

    bhae yahan peh sub ki nazar kapron pe parti hai, lagta hai sub jahil coment ker rahay hain. jis class ka yeh drama hay us class mein is say bhi ziyada revealing kapray pehnay jatay hain, yeh to phir bhi tv dramay ke liyae bara tone down huay hay. asal baat to is topic ki hay jisay aik educated tabqay mein bari khubsorati say highlight kiya giya hay, keh itnay paray likhay hotay huay bhi Alidaan, zavia aur nida itni jahilon walay andaaz say sochtay hain. Bhae yeh bhi to ghour karo keh jab maan baap apni sari zindagi apni aulad ko dai detay hain aur phir woh aulad baray honay per apni zindagi mein lag jati hay to phir mohabbat kay maray woh maa baap kahan jaein. Europe mein to log apnay maa baap ko old age homes bhijwa deitay hain, is dramay ko daikh ker to mein bara acha feel ker rahi hoon keh in maa baap nay aik aur aulad paida kerli jo inki khoi huee mohabbat ko aik baar phir zinda ker giya. itna arsa aulad palnay mein guzar ker ub naee aulad ko palna aik bilkul naya tajurba hai.
    Rubina Ashraf nay behtereen adakari ki hay. tamam young chehray bhi baray achay aur manjhay huay nazar aarahay hain, khaas tor per writer aur director mubarakbaad ke musthiq hein.

    • tasnim

      Hira mein agree kerti hoon aap se….

    • kemal

      hira, waqi jab apnay bachay chor jatay hein to dil kerta hai keh kaash yeh chotay ho ker dobara wapis aajaein.

  • huma

    topic thek hy but en k behaviors bht exaggerated hen esy e drama drag kr ry hen Ali dan ki bivi b boorhi bnae hy us ki maa lgti hy

  • someone

    director ka kaam buhut umda hai

  • jamilkhan12

    Allah aise aulad say bacha kay rakhay.

  • RANJA

    AAJ KAL NIDA JESI BAHUUUUZ HI HOTY HY 99%, OR AULAAD KA BADTAMEEZ HONA MAA BAAP KY SATH, YEH TO QURB E QAAMAT KY NISHAAN HY

  • sabeeh

    mjhe lagta ha k liza ka accident ki wja se memory pe aser ho ga……………. or aaliya isko adopt kr lega………… lets see what happen?

  • yasmeen

    itnay kharab dialog hain bachi aliya ki sali hai or kon hai is main itna ghussa karnay wali kon si baat hai zahir hai zawiya ki behan hai

  • yasmeen

    bichi bari ho gai hai lekin alidan or us ki behan ki koi ulad nehi hui

  • yasmeen

    robina ko to har waqat saans hi charda rehta hai

  • nadia

    exaggerated and dumb, stupid drama

  • affy

    3 yrs same clothing . looooolz this nida n ali cnt stand em ajeeb he
    acting hai nidaa dressless women

  • smart mom

    papa ko bhee iis age may hee rungrulyan manaanay kaa kiya shoq aaya thaa

    • Sooch

      Kuch kaam Allah ki tarf se bhi hotay hain!

  • sara

    Logon k kapray bhi wohi he or 3-4 saal guzar gaye

  • sara

    Pathetic dressing

  • kiwi

    sirf bachi bari hogai baqi sab kuch waisa ka waisa hai..haha..nida ko baby kiu nai hua

  • kiwi

    nida is a witch

  • 3amfer

    sab ghussa mai pagal hain

  • nainaa

    zavia and alidan ka to dmagh khrab hai. itni piyari bachi hai…..
    nida ko to ghar se nikal dena chahye..

    • Aty

      Such a zabardast idea….

  • 3amfer

    Papa ajeeb hain….har waqt angarey chabatey rehtey hain

  • DM

    Very sad to see when children dont realize the pains parents take in upbringing them. Once we are older we dont tend to understand their emotions and forget it is now our time to return the love and affection to them.

  • roman

    ghar ki bahoo hai kam az kam kapry tu pehnoo

    • nainaa

      hahahahaha u ri8 baby … ;)

    • Shia

      Ap Pehan do ja kr

next-hover prev-hover Postborder Remove Favorite Lights Off